suraj ki raushni mein bikhre hue the sare
By swati-sani-reshamFebruary 29, 2024
suraj ki raushni mein bikhre hue the sare
jo raat ki siyahi mein sath the hamare
aao farozan kar den aansu ke kuchh sharare
kuchh aur aasman par hum tank den sitare
milne ka wa'da kar ke phir chand kyon na aaya
naddi thi rah takti gin gin ke raat tare
karwat badalte dukh ki wahshat-zada khamoshi
kamre ki khidkiyon se phir daf'atan pukare
taron ke khwab sare sajte hain sham hi se
derina khwahishon se nikhre hain mah-pare
viran si gali mein thin raunaqen hazaron
jo khwab raat dekhe wo sath the hamare
chaha tha hum ne banhon mein le len chand hi ko
taron ki anjuman ko bin farsh par utare
kis gam ja ke barsen kis chhat pe bhig jaen
ghar dhundte nagar mein aawara abr-pare

62574 viewsghazal • English