suraj ki sunahri kirnon se tabinda rukh-e-alam na sahi aasar-e-sahar to paida hain kam zulmat-e-sham-e-gham na sahi aadab-e-chaman se na-waqif zanjir bapa diwanon ko tamir-e-chaman ki fikr to hai takhrib-e-chaman ka gham na sahi han yaad hamein bhi kar lena aasaish-e-manzil se pahle ai qafile walo gham na karo ai manzil-e-jaanan hum na sahi anjam-e-safar kya hona hai ye faisla mustaqbil dega maidanon pe wahshat aaj bhi hai rahon ke wo pech-o-kham na sahi mayus 'mujib' itna bhi na ho laghzish to gunah-e-adam hai manzil ki talab to mohkam hai idrak-e-safar mohkam na sahi