suraj kiran ke sine mein jaise saja hua aise hi nam aap ka dil par likha hua lahren khushi ki uthti rahengi kabhi kabhi gar dil mein hai sukun ka samundar basa hua toda use to ek qayamat bapa hui zarre mein aaftab tha jaise chhupa hua bas ek teri nigah nigahon se kya mili sukha hua tha nakhl-e-tamanna hara hua har aql hai asir-e-aqidat bani hui aur dil to hai sarapa aqida bana hua ai baadban-e-ishq-e-butan le chala kahan tuti ye dil ki naw hai dariya ruka hua kahne ko umr bhar thi guzari jahan mein lagta hai do ghadi mein fasana hawa hua mange ke chand roz the lo khatm ho gae yun zindagi ka qarz 'hidayat' ada hua