suraj ko nikalna hai so niklega dubara

By ahmad-nadeem-qasmiMay 25, 2024
suraj ko nikalna hai so niklega dubara
ab dekhiye kab dubta hai subh ka tara
maghrib mein jo dube use mashriq hi nikale
main khub samajhta hun mashiyyat ka ishaara


padhta hun jab us ko to sana karta hun rab ki
insan ka chehra hai ki quran ka para
ji haar ke tum par na kar pao nadi bhi
waise to samundar ka bhi hota hai kinara


jannat mili jhuton ko agar jhut ke badle
sachchon ko saza mein hai jahannam bhi gawara
ye kaun sa insaf hai ai arsh-nashino
bijli jo tumhaari hai to khirman hai hamara


mustaqbil-e-insan ne e'lan kiya hai
aainda se be-taj rahega sar-e-dara
84650 viewsghazalEnglish