suraj zamin ki kokh se bahar bhi aaega

By saleem-shahidNovember 15, 2020
suraj zamin ki kokh se bahar bhi aaega
hun muntazir ki subh ka manzar bhi aaega
mitti ka jism le ke chale ho to soch lo
is raste mein ek samundar bhi aaega


har lahza us ke panw ki aahat pe kan rakh
darwaze tak jo aaya hai andar bhi aaega
kab tak yunhi zamin se lipte rahen qadam
ye zoam hai ki koi palat kar bhi aaega


dekha na tha kabhi meri aankhon ne aaina
ehsas bhi na tha ki mujhe dar bhi aaega
patthar ke sath bandh ke dariya mein daliye
warna ye jism dub ke upar bhi aaega


'shahid' baja ye zoam ki gauhar-shanas ho
ye soch lo ki hath mein patthar bhi aaega
41495 viewsghazalEnglish