suraKH kashti munh-zor dariya

By muzaffar-hanfiOctober 25, 2023
surakh kashti munh-zor dariya
taslim chahe jis or dariya
ye tisra kaun apne milan mein
sangam ke niche ek chor dariya


apni taraf se hum bhi gurezan
bosida sahil ghanghor dariya
jangal mein mangal mangal mein ketu
ek mor shoala ek mor dariya


jabbar maujen qahhaar maujen
munh-zor dariya pur-shor dariya
yun bhi 'muzaffar' dekhe gae hain
kante mein to’ma lam-dor dariya


92215 viewsghazalEnglish