surkh makan dhalta jata hai ek barfili mitti mein aur makin bhi dekh rahe hain ye tabdili mitti mein un galiyon ke ramz-o-kinaya yun wahshat-asar hue mein to dil hi chhod ke bhaga is lachkili mitti mein khamyaza hai baam-o-dar par jaane kin barsaton ka nam-dida pul ghum rahe hain har sau sili mitti mein ek sahra mein rone wale pahle tut ke rote hain aur duaen bo aate hain phir us gili mitti mein kal ji bhar kar zahr undela hum ne khwab ki faslon par har su nili ghas ugi hai ab zahrili mitti mein ab shadab ye hogi ja kar jaane kitne ashkon se jaane kitna khun milega aur is pili mitti mein