surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fam ho gaya fitna sawar-e-ablaq-e-ayyam ho gaya paimane ke tawaf mein hai mai-kashon ki aankh tar-e-nigah un ka khat-e-jam ho gaya aaya jo sair ko lab-e-sahil wo baada-nosh dariya mein jo habab utha jam ho gaya ai dil firaq-e-yar mein marna hai zindagi jaanbaz aashiqon mein tera nam ho gaya tukde dil-o-jigar ke udane se faeda ai tegh-e-naz ab to mera kaam ho gaya zulfon ki yaad mein nazar aaya jo ru-e-yar tha kufr ka khayal par islam ho gaya us zulf ke khayal ne afsurda-dil kiya thanda charagh-e-umr sar-e-sham ho gaya milte nahin wo hum se ab itne zaif hain labrez umr-e-khizr ka bhi jam ho gaya taqat badan mein aa gai chehra bahaal hai tashrif lae aap ki aaram ho gaya tu sham ko jo aaya tahalne ke waste sartaj-e-koh-e-tur tera baam ho gaya surme se ud chala teri aankhon ka husn aur kya tez-gam ablaq-e-ayyam ho gaya hum ibtida-e-ishq hi mein ho gae tamam aaghaz jis ko samjhe the anjam ho gaya khilat diya jo zakhmon ka qatil ki tegh ne nam-awari ka khub sar-anjam ho gaya kahta hai tan se tu hamein banda-e-khuda itna mizaj o but-e-khud-kaam ho gaya qasid ne be-dhadak jo sunaya jawab-e-shauq paigham-e-yar maut ka paigham ho gaya phaila ye sehr-e-chashm-e-fusun-saz yar ka patna hamara khitta-e-asham ho gaya qismat mein pukhtagi jo na roz-e-azal se thi jo phal hamein mila samar-e-kham ho gaya us rashk-e-gul ne dekhte hi said kar liya tar-e-nigah-e-naz mujhe dam ho gaya ab zikr bhi hamara tumhein nagawar hai aisa zalil aashiq-e-nakaam ho gaya hasil hui hai ye barakat nat-e-pak se 'akbar' tera bhi shah-e-sukhan nam ho gaya