tab karan ta-ba-karan subh ki aahat gunji aaftab ek dhamake se ufuq par aaya ab na wo raat ki haibat thi na zulmat ka wo zulm parcham-e-nur yahan aur wahan lahraya jitni kirnen bhi andhere mein ubhar kar ubhrin nok par raat ka daman darida paya meri tarikh ka wo bab-e-munawwar hai ye din jis ne ek qaum ko khud us ka pata batlaya