tabhi to bhiD be-shumar hai yahan

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
tabhi to bhid be-shumar hai yahan
buri khabar ka intizar hai yahan
jahan sara aspatal kyon nahin
ki ajnabi bhi gham-gusar hai yahan


na fasl mukhtalif hai khet-khet ki
na medh par katila tar hai yahan
ye aaina ye tuta-phuta aaina
yahi to ek apna yar hai yahan


qatar is liye bhi tutti nahin
khuda hi ek dukan-dar hai yahan
hazar bar imtihan mein baithiye
wahi sawal bar-bar hai yahan


58745 viewsghazalEnglish