tabish-e-husn hijab-e-rukh-e-pur-nur nahin rakhna-gar ho nigah-e-shauq to kuchh dur nahin shab-e-furqat nazar aate nahin aasar-e-sahar itni zulmat hai rukh-e-shama pe bhi nur nahin raaz-e-sar-basta-e-fitrat na khula hai na khule main hun is sai mein masruf jo mashkur nahin sarf-e-nairangi-e-nazzara hai khud apna wajud ain wahdat hai koi nazir-o-manzur nahin nazar aata nahin go manzil-e-maqsad ka nishan zauq-e-sadiq yahi kahta hai ki kuchh dur nahin