taDap jata hai dil jab duriyon ki baat hoti hai

By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
tadap jata hai dil jab duriyon ki baat hoti hai
idhar suraj nikalta hai udhar jab raat hoti hai
kabhi ek baat hoti hai hazaron baat ke pichhe
kabhi ek baat ke andar hazaron baat hoti hai


maqam-e-'adl se guzre dayar-e-sidq bhi dekha
har ek 'alam mein duniya ahl-e-zar ke sath hoti hai
yahan zalim nahin koi to barish kyon nahin hoti
idhar barsat hoti hai udhar barsat hoti hai


mukammal taur par hum samne aane se darte hain
hamari asl haalat to pas-e-haalat hoti hai
haq-o-baatil azal se barsar-e-paikar hain lekin
na is ki jit hoti hai na us ki mat hoti hai


bagulon ki jagah ugti hain khud-rau jhadiyan aksar
‘arab ke reg-zaron mein bhi ab barsat hoti hai
mere har kaam ka maqsad hai 'irfan' us ki khushnudi
meri har fikr ka mehwar usi ki zat hoti hai


41430 viewsghazalEnglish