taDap raha tha main jis dard-e-la-dawa ke liye

By afzal-minhasJune 13, 2021
tadap raha tha main jis dard-e-la-dawa ke liye
wo mil gaya hai magar chhin le khuda ke liye
main bund bund tapakta hun apne honton par
chala tha le ke ye sarmaya karbala ke liye


fishaar-e-gham ne mujhe chur chur kar dala
kiwad khol de sare zara hawa ke liye
kati hui hai mere taza mausamon ki zaban
kahan se launga alfaz ab dua ke liye


meri talab ne mere hath tod dale hain
bahut kada hai ye lamha meri ana ke liye
kabhi dariche samundar ki samt khulte the
taras gaya hun magar ab khuli faza ke liye


mujhe khabar hai jhukegi teri nazar na kabhi
bani hai ye to sifat chashm-e-ba-haya ke liye
har ek chiz yahan kaghazi libas mein hai
koi jagah nahin milti gul-e-wafa ke liye


khayal mein kai kante utar gae 'afzal'
saza mili hai ye ek harf-e-na-rasa ke liye
18401 viewsghazalEnglish