tadapna bhi dekha na bismil ka apne main kushta hun andaz-e-qatil ka apne na puchho ki ahwal na-gufta-bah hai musibat ke mare hue dil ka apne dil-e-zakhm-khurda ke aur ek lagai mudawa kya khub ghayal ka apne jo khosha tha sad khirman-e-barq tha yan jalaya hua hun main hasil ka apne tak abru ko meri taraf kije mail kabhu dil bhi rakh lije mail ka apne hua daftar-e-qais aakhir abhi yan sukhan hai junun ke awael ka apne banaen rakhen main ne aalam mein kya kya hun banda khayalat baatil ka apne maqam-e-fana waqiye mein jo dekha asar bhi na tha gor manzil ka apne