taDpen kab tak teri furqat mein mohabbat wale
By faheem-gorakhpuriMarch 1, 2021
tadpen kab tak teri furqat mein mohabbat wale
aa idhar bhi kabhi o naz-o-nazakat wale
shaikh-o-waiz hon na kis tarah karamat wale
hazrat-e-pir-e-mughan ki hain ye sohbat wale
kab tak izaen sahen teri mohabbat wale
rahm kar rahm kar o zulm ki aadat wale
shaikh rindon ko bura kah ke gunahgar na ban
are kambakht yahi log hain jannat wale
dekh ja aa ke ki ab naza ki haalat hai meri
itni taklif kar ai meri nazakat wale
mujh se aasi ko jo mahshar mein mila bagh-e-bahisht
rah gae dekh ke munh zohd-o-ibaadat wale
teri furqat mein tadapta hai mera dil kaisa
dekh aa kar kabhi o sakht tabiat wale
jhum kar aane to de abr-e-siyah ai saqi
abhi aa jaenge maikhane ki sohbat wale
dil to kya jaan fida kar den tere qadmon par
aashiqon mein tere aise bhi hain himmat wale
chikh uthe aate hi masjid mein janab-e-waiz
chaunk uthte hain yun hi khwab se ghaflat wale
koi karta hai mai-e-ishq ko jaez koi mana
dekhen kya hukm lagate hain shariat wale
sohbat-e-mai mein bhi milta nahin waiz ko maza
aise dekhe hi nahin khushk tabiat wale
rah gaya chup hi sawalon pe nakirain ke main
sun chuka tha ki farishte hain ye jannat wale
kal se hai wada-e-wasl aaj na kah yaad nahin
is qadar bhul na o bhul ki aadat wale
qabr se uth ke qayamat mein wahin pahunchenge
hauz-e-kausar hi pe dam lenge tere matwale
mayyat-e-ashiq-e-shaida hai uthana lazim
itna nazuk na ban o mere nazakat wale
munfail ho ke hue pursish-e-isyan se bari
sab se achchhe rahe mahshar mein nadamat wale
hum kahen kya ki hamein kuchh nahin aata hai 'fahim'
naz karte hain tabiat pe tabiat wale

35987 viewsghazal • English