tah-ba-tah uljhi hui rahguzar mein gum tha

By sultan-akhtarOctober 4, 2023
tah-ba-tah uljhi hui rahguzar mein gum tha
main ki har lamha bala-khez safar mein gum tha
ek afsurda-o-namnak faza raushan thi
aur main khauf ke tarik khandar mein gum tha


tah-e-girdab nihan tha na sar-e-ab ayan
yani wo halqa-e-sad-mauj-e-hunar mein gum tha
justuju khak udati rahi shahron shahron
apna sarmaya-e-jaan apne hi ghar mein gum tha


har qadam par shajar-e-shauq ke sae the magar
dam-e-fursat bhi to main khwab-e-safar mein gum tha
bas-ki ye raaz khula bhi to pas-e-marg-e-talash
wo meri aankhon mein main us ki nazar mein gum tha


har qadam par nai diwar thi mahrumi ki
hausla khak udane ka safar mein gum tha
26259 viewsghazalEnglish