tah-e-badan kahin bedar hota jata hun wo pas aata hai jitna main sota jata hun zamin nikli chali ja rahi hai hathon se main aasman-e-mohabbat mein khota jata hun udhar wo mujh se gurezan hai mujh pe hanste hue idhar main us ke taaqub mein rota jata hun har ek lamha banate hain mujh ko hath us ke wo karta jata hai mujh ko main hota jata hun main kaenat ka mazdur ashraf-e-makhluq koi bhi kaam ho ek main hi jota jata hun badan ki khak to ud jaegi hawa main kahin magar wo ped rahenge jo bota jata hun wo tegh-e-kasrat-e-mani lagi takhallus ko ki do do 'farhat'-o-'ehsas' hota jata hun