tahayyuraat ka aaina teri kam-suKHani

tahayyuraat ka aaina teri kam-sukhani
padi hain mujh ko musalsal jo aafaten sahni

pasina khun thakan aable shakebai
'ajib chiz hai yaro mazaq-e-kohkani

buton ko todna sadiyon se jin ka iman tha
shi'ar ban gaya un ka mazaq-e-dil-shikani

hasin jism hain show-case mein sajae hue
kharida jata hai arzan waqar-e-gul-badani

'ajib shor tha zagh-o-zaghan ki mahfil mein
sada-e-tair-e-shirin nahin kisi ne suni

har ek samt se baunon ne sangsar kiya
buland-qamati mere liye 'azab bani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close