tahi-daman barahna-pa rawana ho gaya hun

By ainuddin-azimMay 29, 2024
tahi-daman barahna-pa rawana ho gaya hun
tabahi chal tere shana-ba-shana ho gaya hun
teri raftar par qurban jaun ai taraqqi
main apne 'ahd mein guzra zamana ho gaya hun


mere atraf rahta hai hujum-e-na-muradi
jabin-e-na-rasa mein aastana ho gaya hun
hawa ki tan par gate hain mujh ko khushk patte
main har tute hue dil ka tarana ho gaya hun


meri mitti mein ab meri haqiqat dhundhti hai
main duniya ke liye jab se fasana ho gaya hun
mera bhi tazkira hone laga danishwaron mein
to kya phir main bhi 'azim' kuchh diwana ho gaya hun


44079 viewsghazalEnglish