tair-e-khush-rang ko be-baal-o-par dekhega kaun us ko khud apne lahu mein tar-ba-tar dekhega kaun aaj to har shakhs hai sae se tere shad-kaam khushk hone par tujhe kal ai shajar dekhega kaun ye to sach hai kuchh jazire hain udhar behad hasin un ko lekin bahr-e-khun mein pair kar dekhega kaun tod kar aakhir hawas ka ye tilism-e-zar-nigar ahd-e-nau ka izdaha-e-haft-paikar dekhega kaun ai fasil-e-shahr-e-jaanan ek zara tu hi bata main yahan par jaan to de dun magar dekhega kaun ho gai binai to sab us ki diwaron mein jazb un ke ghar ko dekh kar ab apna ghar dekhega kaun kuchh tamashai bhi lazim hain sar-e-maqtal 'tufail' wo nahin honge to qatil ka hunar dekhega kaun