tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin
By January 30, 2018

tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin
ek parinda gum hua unchi udanon mein kahin
main haqiqat hun kisi kirdar mein mujh ko na dhaal
log dohraen na mujh ko dastanon mein kahin
raat chup hai ikka-dukka chappuon ke saz par
git koi gunjta hai baadbanon mein kahin
raat zakhmi ho rahi hai lamha lamha mere sath
phadphadate hain parinde aashiyanon mein kahin
fan ki masti dekhna bahar hisar-e-harf se
sochna bahta hai dariya saebanon mein kahin
raudna ghode ki tapon se mera baqi badan
aur sar le ja ke phenk aana chatanon mein kahin
log yakja kar rahe hain 'ramz' meri khak ko
dekhna phir mujh ko mere qadr-danon mein kahin

79178 viewsghazal • English