taKHliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur

By ali-sardar-jafriOctober 24, 2020
takhliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur
is aadam-e-khaki ne banaya hai jahan aur
ye subh hai suraj ki siyahi se andheri
aaegi abhi ek sahar mahr-chakan aur


badhni hai abhi aur bhi mazlum ki taqat
ghatni hai abhi zulm ki kuchh tab-o-tawan aur
tar hogi zamin aur abhi khun-e-bashar se
roega abhi dida-e-khunaba-fiashan aur


badhne do zara aur abhi kuchh dast-e-talab ko
badh jaegi do chaar shikan-e-zulf-e-butan aur
karna hai abhi khun-e-jigar sarf-e-bahaaran
kuchh der uthana hai abhi naz-e-khizan aur


hum hain wo bala-kash ki masaib se jahan ke
ho jate hain shaista-e-gham-ha-e-jahan aur
99203 viewsghazalEnglish