talab dariya jhil samundar nahin hue
By ankit-mauryaFebruary 5, 2024
talab dariya jhil samundar nahin hue
us ki nigah-e-naz se badh kar nahin hue
kab se khuda samajh ke jise pujte rahe
us ki nazar ke sae bhi hum par nahin hue
sar se na ek shakhs ka nashsha utar saka
so hum nashe mein dhut kabhi pi kar nahin hue
jitne udas hum tujhe kho kar hue hain aaj
itne to khush kabhi tujhe pa kar nahin hue
tu jis taraf bhi jae udhar chal padenge dost
hum tere sath soch samajh kar nahin hue
duniya tuli thi hum ko banane pe dewta
par hum kisi bhi haal mein patthar nahin hue

70481 viewsghazal • English