talab se nikal ke samandar mein aa gaya
By muzaffar-hanfiOctober 25, 2023
talab se nikal ke samandar mein aa gaya
is bar sindbaad mere ghar mein aa gaya
be-chehra gardanon ki shikayat fuzul hai
ma'sum hath qabza-e-khanjar mein aa gaya
dekha hi tha khala se palat kar zamin ko
har qatra-e-lahu mere shahpar mein aa gaya
dariya ke lakh hath mujhe rokte rahe
main ne lagam uthai bahattar mein aa gaya
aisi bulandiyon ki tamanna kabhi na thi
zarra hun gard-baad ke chakkar mein aa gaya
sar par gunahgar ke phenka nahin abhi
dhabba kahan se hath ke patthar mein aa gaya
is 'ahd mein jahan bhi hawa tez-o-tund ho
tufan sa bayaz-e-'muzaffar' mein aa gaya

16200 viewsghazal • English