talash main ne zindagi mein teri be-shumar ki jo tu nahin mila to tujh si shakl ikhtiyar ki taqaza karne maut aai tab mujhe pata laga abhi talak main le raha tha sans bhi udhaar ki thi sard yaad ki hawa main dasht mein tha mazi ke na puchhiye janab main ne kaise raat par ki tamam shab guzar gai bas ek is umid mein palat ke aaegi sada kabhi to is pukar ki thithur rahe hain kyun bhala khuda ke hi to hum bhi hain chalo utha ke odh len wo chadaren mazar ki jala din main ne zehn ki kitaben sari is liye ki dastan thi sabhi mein us ke intizar ki bikherti hai shab mujhe samet leti hai sahar main chahta hun khatm ho ye jang bar bar ki mujhe ghurur todna tha mauj ka isi liye utar pada main naw se badan se naddi par ki