talluq apni jagah tujh se barqarar bhi hai magar ye kya ki tere qurb se farar bhi hai kured aur zamin mausamon ke mutalashi! yahin kahin meri khoi hui bahaar bhi hai yahi na ho teri manzil zara thahar ai dil wahi makan hai diyon ki wahi qatar bhi hai yunhi to ruh nahin todti hisar-e-badan zarur apna koi baadalon ke par bhi hai main pattharon se hi sar ko patakh ke laut aaya chatan kahti rahi mujh mein shahkar bhi hai ye kya ki rok ke baitha hua hun sail-e-hawas machan par bhi hun aur samne shikar bhi hai chhupa hua bhi hun jine ki aarzu le ke panah-gah meri sher ki kachhaar bhi hai