talwar gharq-e-KHun hai aankhen gulabiyan hain

By meer-taqi-meerNovember 18, 2020
talwar gharq-e-khun hai aankhen gulabiyan hain
dekhen to teri kab tak ye bad-sharabiyan hain
jab le naqab munh par tab did kar ki kya kya
dar-parda shokhiyan hain phir be-hijabiyan hain


chahe hai aaj hun main haft-asman ke upar
dil ke mizaj mein bhi kitni shitabiyan hain
ji bikhre dil dhahe hai sar bhi gira pade hai
khana-kharab tujh bin kya kya kharabiyan hain


mehman 'mir' mat ho khwan-e-falak pe hargiz
khali ye mehr-o-mah ki donon rikabiyan hain
53466 viewsghazalEnglish