tama ka daur hai hatim ata kar

By naqqash-ali-baloochNovember 10, 2020
tama ka daur hai hatim ata kar
najaf ke shah sa hakim ata kar
zamin par ghasibon ki hai hukumat
zamin ko musi-e-'kazim' ata kar


teri dharti pe tera adl chahen
nizam-e-adl ka nazim ata kar
jo bhukon ko khilae narm roti
hamein maula wahi hashim ata kar


mile shair ko raaz-e-kun-fakuni
ali ke ilm ka raqim ata kar
jo kate marhab-o-antar ke sar ko
usi karrar sa jasim ata kar


tujhe khush aae teri la-makani
mujhe mera pata lazim ata kar
har ek nau-shah ko 'naqqash' ke rab
shuur-e-hazrat-e-'qasim' ata kar


39401 viewsghazalEnglish