tamam aalam se mod kar munh main apne andar sama gaya hun mujhe na aawaz de zamane main apni aawaz sun raha hun tazad-e-hasti ka falsafa hun uruj o pasti ka aaina hun utha hua ek ghurur-e-sar hun mita hua ek naqsh-e-pa hun ho kya tayyun meri hadon ka shumar kya meri wusaton ka hazaron aalam base hain mujh mein main behad-o-be-karan khala hun azab-e-ehsas-o-agahi ke wo dil-shikan khwab-pash lamhe hazar aaine tutte hain main jab bhi aaina dekhta hun main na-shunida sada-e-sahra banunga aawaz-e-waqt 'kaifi' zaban-e-alam pe aaunga kal main aaj ek harf-e-narsa hun