tamam fitnon se KHud ko bacha liya maine
By aalam-nizamiDecember 28, 2023
tamam fitnon se khud ko bacha liya main ne
munafiqin se pichha chhuda liya main ne
na jaane kis liye zahmat utha rahe hain log
daraaz qad bhi jab apna ghata liya main ne
shanakht ho sake jis se fareb-karon ki
janab-e-wala wo chashma laga liya main ne
meri ana pe zara bhi kahin jo harf aaya
to aasman ko sar par utha liya main ne
tujhe main tark karun kis tarah ghazal-goi
tujhe to zist ka hissa bana liya main ne
hue shikar jo ahbab bad-gumani ke
unhen bhi husn-e-wafa se mana liya main ne
masarraton se bahut ghut raha tha dam 'alam'
gham-e-hayat ko apna bana liya main ne

53200 viewsghazal • English