tamam hijr usi ka visal hai us ka main ji raha hun magar jaan o mal hai us ka wo zina zina utarne lage to sab bujh jae wo baam par hai to sab mah-o-sal hai us ka main qatl ho ke bhi sharminda apne-ap se hun ki is ke baad to sara zawal hai us ka ugal rahi hain khazane khuli hui aankhen khabar karo ki ye sar paemal hai us ka hazar sal se hun tishna-e-sawal-o-jawab main itna pyasa hun sona muhaal hai us ka uthae hath to angdai istiara bane wo tab-o-tab hai ki har dil ghazal hai us ka qadam qadam shajar-e-saya-dar paida hai ki mere sath safar mein khayal hai us ka wo le ke aaya hai apni sarisht mein shabnam safar bhi jaanib-e-baad-e-shimal hai us ka nigah utthe to shaista-e-junun ho jaen hawas ko said kare wo jamal hai us ka khabar nahin thi ki yun us mein dub jaenge hamare chehre pe rang-e-malal hai us ka kabhi kabhi to bade zor se dhadakta hai ye mera dil nahin koi kamal hai us ka jo aaya hijr ka mausam to kya karenge hum jo tajrabe mein nahin wo sawal hai us ka