tamam jism ki parten juda juda karke jiye chale gae qiston mein log mar mar ke har ek mauj mere panw chhu ke laut gai kahin ye khwab na hon nind ke samundar ke meri kaman mein hain na-tawaniyan meri khud apni zat pe hain tir mere tewar ke ajab hasin khayalon ko zehn palta hai tarashta hai sanam bhi to sang marmar ke bhatak rahi hai kahan ruh sochna hoga nikal gai thi kabhi qaid-e-jism se dar ke main hadsat ko har gam par bulata hun bahut shikasta hain diwar-o-dar muqaddar ke 'faza'! zarur koi taza gul khilaega qalam ne khun mera pi liya hai ji bhar ke