tamam marhala-e-fard-o-zat hona hai

tamam marhala-e-fard-o-zat hona hai
salib chadhne se pahle salib dhona hai

hazar bar yazidon se samna hoga
hazar bar mujhe yun hi qatl hona hai

abhi wo dagh-e-gareban pe tabsira na kare
abhi to khud use sabun se hath dhona hai

sulagti aag ke jangal ka ek shajar hun main
mera wajud yaqinan sarab hona hai

hamare log asiran-e-shoabada-bazi
hamare shahr mein danish-wari ka rona hai

ye jins-e-jaan ki abhi raegan nahin 'mohsin'
kured pao to mitti tamam sona hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close