tamam shahr hi dushman hai kya kiya jae wafa ke nam se bad-zan hai kya kiya jae mujhi se puchh raha hai ye mera ham-saya tumhaara ghar mera aangan hai kya kiya jae gira diya tha mere ghar ko pichhli barish ne ki phir se ghat mein sawan hai kya kiya jae padhai jati hai maktab mein ab ghalat tarikh fasadi hath mein bachpan hai kya kiya jae jo bachche ho gae qabil ude wo panchhi se ki suna suna sa aangan hai kya kiya jae ki sach kuchal diya bewa ki hasraton ki tarah ki jhut hath mein kangan hai kya kiya jae haweli dil ki hai 'arman' suni suni si udas ruh ka aangan hai kya kiya jae