tamam umr-e-rawan ka maal hairat hai jawab jis ka nahin wo sawal hairat hai dukan-e-chashm yahan be-misal hairat hai is aaine ka sarasar kamal hairat hai ye zindagi to tere sath sath khatm hui jo mujh mein baqi hai wo la-zawal hairat hai wo khwab aise the tabir un ki thi hi nahin ramida hijr-e-gurezan visal hairat hai hui tilism-zada jab ye aaine ne kaha yahan to sare ka sara jamal hairat hai adam wajud-e-adam uf ye silsile kaise main lut gai hun magar mala-mal hairat hai ye kaenat hai hairan apne hone par qadam qadam pe yahan mahw-e-haal hairat hai