tamam umr zaban se yahi to kaam liya

By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
tamam 'umr zaban se yahi to kaam liya
tumhaara nam liya ya khuda ka nam liya
meri zaban ne khudaya ye kis ka nam liya
jo mujh ko mere tahammul ne badh ke tham liya


sula diya unhen jage the jo shab-e-gham ke
ajal ne apne hi hathon ye nek kaam liya
jo zarf rakhte hain aa’la wo baada-kash hum hain
kabhi na daur mein saqi se uth ke jam liya


nikal chuki thi mere dil se aah-e-alam-soz
ye kahiye khair hui zabt ne jo tham liya
wo kaun hai ye hamein bhi batao ai 'rafat'
ye chupke-chupke abhi jis ka tum ne nam liya


26265 viewsghazalEnglish