tamanna ka badan bikhra paDa hai

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
tamanna ka badan bikhra pada hai
wo ek gul-dan jo tuta pada hai
teri aahat pe shayad chaunk utthe
bahut din se badan gunga pada hai


jise daman mayassar hai wo roe
yahan ek 'umr ka sukha pada hai
abhi pahchan baqi hai hamari
abhi tak ganw mein hissa pada hai


tujhe jaldi hai wapas lautne ki
ta'alluq ka sira uljha pada hai
jo chahe mang lo qimat tum apni
abhi kirdar par parda pada hai


23760 viewsghazalEnglish