tan se jaan ka qadam nikalta hai
By meer-kallu-arshNovember 5, 2020
tan se jaan ka qadam nikalta hai
ab koi dam mein dam nikalta hai
sair kar inqilab-e-alam ki
thekra le ke jam nikalta hai
ai pari shab jo hur ko dekha
tera andaz kam nikalta hai
khalq marti hai ku-e-qatil mein
taur-e-mulk-e-adam nikalta hai
chhod but-khane ko tere hathon
barhaman ai sanam nikalta hai
kucha-e-zulf se tere ai but
bach ke shaikh-e-haram nikalta hai
saf ai hur tere kuche mein
rang-e-bagh-e-iram nikalta hai
jaan-e-jaan tujh pe jaan jati hai
dam nikalta hai dam nikalta hai
tegh-e-qatil hai 'arsh' zahr-alud
mere zakhmon se sam nikalta hai
ab koi dam mein dam nikalta hai
sair kar inqilab-e-alam ki
thekra le ke jam nikalta hai
ai pari shab jo hur ko dekha
tera andaz kam nikalta hai
khalq marti hai ku-e-qatil mein
taur-e-mulk-e-adam nikalta hai
chhod but-khane ko tere hathon
barhaman ai sanam nikalta hai
kucha-e-zulf se tere ai but
bach ke shaikh-e-haram nikalta hai
saf ai hur tere kuche mein
rang-e-bagh-e-iram nikalta hai
jaan-e-jaan tujh pe jaan jati hai
dam nikalta hai dam nikalta hai
tegh-e-qatil hai 'arsh' zahr-alud
mere zakhmon se sam nikalta hai
36608 viewsghazal • English