tanduruston mein na bimaron ke bich

tanduruston mein na bimaron ke bich
ishq ke hun main dil-afgaron ke bich

ishq hai sair-e-khuda ai dostan
is liye ashraf hai asraron ke bich

manzil-e-dur-o-daraaz-e-ishq mein
gham ko paya hum ne gham-khwaron ke bich

dostan hai la-dawa dur-az-shifa
ishq ka aazar aazaron ke bich

ab to hai kunj-e-qafas ghar par kabhi
bulbulo the hum bhi gulzaron ke bich

kya kahen hum kah nahin sakte hain yar
andkon mein hai ki bisyaron ke bich

jis ke juya momin o mushrik hain wo
subbahon mein hai na zunnaron ke bich

rahm kar hum par bhi dil-bar hain tere
ishq ke hathon se aawaron ke bich

gul ne ta dawa kiya rukh se tere
be-qadar bakta hai bazaron ke bich

ya husain-ibn-e-ali 'matam' ko bhi
kije dakhil apne zawwaron ke bich


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close