tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge

By meer-taqi-meerNovember 18, 2020
tang aae hain dil us ji se utha baithenge
bhukon marte hain kuchh ab yar bhi kha baithenge
ab ke bigdegi agar un se to is shahr se ja
kaso virane mein takiya hi bana baithenge


marka garm to tak hone do khun-rezi ka
pahle talwar ke niche hamin ja baithenge
hoga aisa bhi koi roz ki majlis se kabhu
hum to ek-adh ghadi uth ke juda baithenge


ja na izhaar-e-mohabbat pe hawasnakon ki
waqt ke waqt ye sab munh ko chhupa baithenge
dekhen wo ghairat-e-khurshid kahan jata hai
ab sar-e-rah dam-e-subh se aa baithenge


bhid talti hi nahin aage se us zalim ke
gardanen yar kisi roz kata baithenge
kab talak galiyon mein saudai se phirte rahiye
dil ko us zulf-e-musalsal se laga baithenge


shoala-afshan agar aisi hi rahi aah to 'mir'
ghar ko hum apne kaso raat jala baithenge
95880 viewsghazalEnglish