tang-nazri mein har ek dana ki danai gai

By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
tang-nazri mein har ek dana ki danai gai
hadson ke shahr mein aankhon ki binai gai
phul ki khushbu gai shakhon ki angdai gai
baghban aise mile gulshan ki ra'nai gai


sim-o-zar ki kokh mein palte rahe fitne fasad
muflisi har daur mein suli pe latkai gai
chhoti chhoti baat pe hone lagin khun-reziyan
hilm banda-parwari shan-e-shakebai gai


meri sachchai pe 'adil ko na aaega yaqin
is 'adalat mein bahut jhuti qasam khai gai
jab nazar badli to dil bhi ho gaya kotah-bin
dard ki wus'at gai zakhmon ki gahrai gai


jag uthe insan ka soya hua shayad zamir
subh-e-nau is aarzu mein bar bar aai gai
qaum-o-millat ke liye 'irfan' kya karte jihad
zar zamin ke waste sari tawanai gai


78504 viewsghazalEnglish