tanha jo kisi raat zara dur chala hun

tanha jo kisi raat zara dur chala hun
main apne hi sae se kai bar dara hun

jhumar ki tarah nuqrai mathe pe saja tha
kajal ki tarah sharbati aankhon se baha hun

tum bhagte lamhon ki tarah garm-e-safar ho
main ek apahij ki tarah ghar mein pada hun

tu raat ke mathe pe tha mahtab ki surat
haale ki tarah main tere atraf raha hun

ubhrega teri yaad ka khurshid wahin se
tanhai ke jis tera ufuq par main khada hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close