tanha shajar ke dard ka ehsas de gaya ek shakhs mujh ko jism ka ban-bas de gaya lab-ha-e-nilgun pe hain us ki amanaten jate labon ka jauhar-e-almas de gaya jis mein kabhi bhi aks ki kirchen nahin rahin tuta hua wo shisha-e-ehsas de gaya ab tak hai mere hathon mein khushbu rachi hui maslub ho ke phul bahut bas de gaya ek rud-e-bewafai mein mujh ko baha ke aaj saton-samundaron ki koi pyas de gaya ek na-murad ufuq pe hai kohre ka chand sa kaisi 'musawwir' aas wo be-as de gaya