tanhai ke shoalon pe machalne ke liye tha kya mujh sa jawan aag mein jalne ke liye tha kya katib-e-taqdir se zakhmon ki shikayat jo tir tha tarkash mein so chalne ke liye tha jalta hai mere dil mein pada dagh ki surat jo chand sar-e-arsh nikalne ke liye tha is jhil mein tujh se bhi koi lahr na uthi aur tu meri taqdir badalne ke liye tha mayus na ja aa gham-e-dauran mere nazdik tu hi meri banhon mein machalne ke liye tha ye dasti hui raat guzar jaegi yaro wo hansta hua din bhi to dhalne ke liye tha kuchh aanch mere lams ki garmi se bhi pahunchi wo barf sa paikar bhi pighalne ke liye tha tafriq ne mulkon ki tarashe hain aqaed insan bas ek rah pe chalne ke liye tha zinda hai meri fikr mere karb se 'zulfi' ye phul isi shakh pe phalne ke liye tha