tanhai ki aaghosh mein tha subh se pahle milti rahi ulfat ki saza subh se pahle shayad mere lafzon pe taras aae use ab rote hue mangi hai dua subh se pahle saya bhi mera kho gaya tariki-e-shab mein zulmat ka asar aisa raha subh se pahle jab raat mein so jati hai ye sari khudai deta hai mujhe kaun sada subh se pahle shayad ki muqaddar mein na ho kal ka ye suraj ho jae har ek qarz ada subh se pahle 'shauqi' tujhe mil jaenge shaikh aur barahman is shahr ke maikhane mein aa subh se pahle