tanhai ki gali mein hawaon ka shor tha aankhon mein so raha tha andhera thaka hua sine mein jaise tir sa paiwast ho gaya tha kitna dil-kharash udasi ka qahqaha yun bhi hua ki shahr ki sadkon pe bar-ha har shakhs se main apna pata puchhta phira barson se chal raha hai koi mere sath sath hai kaun shakhs us se main ek bar puchhta dil mein utar ke bujh gai yaadon ki chandni aankhon mein intizar ka suraj pighal gaya chhodi hai un ki chah to ab lag raha hai yun jaise main itne roz andheron mein qaid tha main ne zara si baat kahi thi mazaq mein tum ne zara si baat ko itna badha liya kamre mein phailta raha cigarette ka dhuan main band khidkiyon ki taraf dekhta raha 'azar' ye kis ki samt badhe ja rahe hain log is shahr mein to mere siwa koi bhi na tha