tapish-e-dil na rahi sozish-e-jaan baqi hai shoala-e-ishq kahan sirf dhuan baqi hai be-hisi mein bhi ye ehsas raha hai aksar ek nashtar sa qarib rag-e-jaan baqi hai mai-kasho gardish-e-dauran se hirasan kyun ho sar-e-mai-khana abhi abr-e-rawan baqi hai zikr aata hai jafaon ka tere nam ke sath dil-e-barbaad ka itna to nishan baqi hai muddaten ho gain paiman-e-wafa ko tute is jafa ju se magar rabt-e-nihan baqi hai zindagi silsila-e-ishrat-e-mauhum sahi gham-e-salamat hai to aasaish-e-jaan baqi hai manzil-e-tark-e-tamanna hai janab-e-'arif' dil mein ab bhi hawas-e-lala-rukhan baqi hai