tapish kyon baDh rahi hai raston ki

By chand-kakralviJanuary 19, 2024
tapish kyon badh rahi hai raston ki
qaza aane ko hai kya aablon ki
hamare hath hira ho gae hain
ghisai karte karte pattharon ki


hawa ke sath chalna pad raha hai
badi majburiyan hain baadalon ki
jahan tak sath le jaen hawaen
wahin tak zindagi hai khushbuon ki


yaqinan phul koi khil gaya hai
nahin to bhid kyon hai titliyon ki
usi ke samne rounga ja kar
jo qimat jaanta hai aansuon ki


hata kar 'chand' ne chehre se parda
zabanen kat din tarikiyon ki
88834 viewsghazalEnglish