tapte sahraon pe garja sar-e-dariya barsa

By ahmad-farazJanuary 1, 2024
tapte sahraon pe garja sar-e-dariya barsa
thi talab kis ko magar abr kahan ja barsa
kitne tufanon ki hamil thi lahu ki ek bund
dil mein ek lahr uthi aankh se dariya barsa


koi gharqab koi mahi-e-be-ab hua
abr-e-be-faiz jo barsa bhi to kaisa barsa
chadhte dariyaon mein tufan uthane wale
chand bunden hi sar-e-daman-e-sahra barsa


tanz hain sokhta-jaanon pe garajte baadal
ya to ghanghor ghataen na utha ya barsa
abr-o-baran ke khuda jhumta baadal na sahi
aag hi ab sar-e-gulzar-e-tamanna barsa


apni qismat ki ghataon mein bhi jalte hain 'faraaz'
aur jahan wo hain wahan abr ka saya barsa
10103 viewsghazalEnglish