taqaten tumhaari hain aur KHuda hamara hai

By manzar-bhopaliFebruary 27, 2024
taqaten tumhaari hain aur khuda hamara hai
'aks par na itrao aaina hamara hai
aap ki ghulami ka bojh hum na dhoenge
aabru se marne ka faisla hamara hai


'umr bhar to koi bhi jang lad nahin sakta
tum bhi tut jaoge tajraba hamara hai
apni rahnumai par ab ghurur mat karna
aap se bahut aage naqsh-e-pa hamara hai


47439 viewsghazalEnglish